Silsila Tooty Na Saaqi Hosh Ur Jany K Baad,Mujh Ko Milta Hi Rahy Paimana, Paimany K Baad

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Silsila Tooty Na Saaqi Hosh Ur Jany K Baad,

Mujh Ko Milta Hi Rahy Paimana, Paimany K Baad

 

Kho Diya Dunya Main Jo Kuch Tha,Tujhe Paany K Baad,

Jaan Se Jana Para Humko,Tere Aany K Baad

 

Tuo Hi Tha Wo Shamma Jis Ki Roshni Thi Har Taraf,

Rang Mehfil Main Kahan Ab Tere Utth Jany K Baad

 

Jao Bheto Chain Se Main Kia Kahon,Tum Kia Suno,

Ab Pashemani Se Kia Hasil,Sitam Dhany K Baad

 

Iska Kia Kihna ! Zahid K Thikany Hain Buhat,

Ye Kisi Masjid Main Ja Bhetay Ga Maikhanay K Baad

 

Shamma-e-Mehfil Roye Ya Hans Kar Guzaray Subah Tak,

Kon Ab Jalny Yahan Aay Ga Parwany K Baad

 

Husn-e-Rukh Ki Ik Jhalak Ny Kar Diye Aosan Gum,

Hosh Aaya To Magar Unky Chaly Jaany K Baad

 

Sach Hy Koi Bhi Shareek-e-Gham-o-Dard Hota Nahi,

Ho Gy Ahbab Rukhsat Mujh Ko Samjhany K Baad

 

Ab To Kehty Ho Keh  Ja ! Meri Nazar Se Door Ho,

Tum Manany Ao Gy Mujh Ko,Mere Jaany K Baad

 

Taair-e-Dil ! Khaal To Dekha,Kham-e-Gasoo Bhi Dekh,

Daam Bhi Tujh Ko Nazar Aa Jai Ga Dany K Baad

 

Wahshat-e-Dil Ki Badolat Hum Chaly Aai Yahan,

Dekhiye Ab Konsi Manzil Hy Weerany K Baad

 

Kon Rota Hy Kisi Ki KhastaHaaly Par NASEER, 

Zer-e-Lub Hasti Hy Dunya,Mere Lut Jany K Baad

**********NOMI********** 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo