Aik Gulaab Tha Bara Hi Udaas Tha Rang Bhi Uska Tha Ura Ura Sa




Aik Gulaab Tha Bara Hi Udaas Tha

Rang Bhi Uska Tha Ura Ura Sa


Shabnam K Aanso Rawan Thay Us K

Dil Tha Us ka Kuch Bujha Bujha Sa


Bahar Ka Tha Mausam Phir Bhi Na Khila Tha

Daali Say Tha Wo Apni Kuch Jhuka Jhuka Sa


Main Ny Jo Dekha Usay

Paas Ja K Poocha Usay


Q Hai Udas Tu?

Q Karta Hai Dil Barbaad Tu?


Ye Sun kar Woh Ronay Laga

Shabnam K Aansuon Sy Monh Dhonay Laga


Or Roty Roty Bas Ye Kehne Laga


Mera Yar Mujhko Chor Gaya Hai

Mera Pyar Mujh Sy Monh Mor Gaya Hai


Ab Main Kis K Liye Khil Jaon?

Ab Main Kis K Liye Khushbu Mehkaon


Mujhe Kon Apne Dil Sy Lagaye Ga?

Mujh Ko Kon Apni Saanson Main Basaye Ga?


Mera Chaman Ujar Gaya Hai

Mera Yaar Mujhse Bichar Gaya Hai


Bas Ab To Har Lamha Usi Ki Yad Hai

Bas Beqarari Hai Tarap Hai Fariyad Hai


Mujhko Mere Yaar Sy Mila Day

Mujhko Koi Mera Pyar Laota Dy


Wo Aaye Ga To Khil Jaon Ga Main

Apni Zindagi Say Mil Jaon Ga Main.


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai