Hum’Zubaan Mere They in ke Dil Magar Achey Na They

 

 

Poet:

Munir Niazi 

 

Hum’Zubaan Mere They in ke Dil Magar Achey Na They

 Manzilain Achi Thee’n Mere Hum’safar Achey Na They

 

Jo Khabar Pohunchi Yahan Tak Asal Surat Mein Na Thi 

Thi Khabar Achi Magar Ehl-e-Khabar Achey Na They

 

Bastiyon Ki Zindagi Mein Be’zari Ka Zulm Tha 

Log Achey They Wahan ke Ehl-e-zar Achey Na They

 

Hum Ko Khubaa’n Main Nazar Ati Theen Kitni Khoobiyan

 Jis Qadar Achey Lage They Is Qadar Achey Na They

 

Is Liye Aayi Nahin Ghar Mein Mohabbat Ki Hawaa 

 Is Mohababt Ki Hawaa K Muntazir Achey Na They

 

Ik Khayal-e-Haam Hi Murshad Tha In Ka Aye MUNIR

Yaani Apne Sheher Mein Ehl-e-Nazar Achey Na They..

 

**********NOMI**********

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai