Labon Pe Harf Na Koi Sawal Rkhta Tha

 

 Poet Mohsin Naqvi 


Labon Pe Harf Na Koi Sawal Rkhta Tha,

Kabhi Main Zabt Mein Itna Kamal Rakhta Tha,

Khabar Kahan Thi Mujhe Hi Wo Bhool Jaye Ga,

Aik Aik Cheez Jo Meri Sambhal Rakhta Tha,

Bicharte Waqt Bazahir To Kuch Na Bola Tha,

MagAr Nigah Mein So So Sawal Rakhta Tha,

Wo Muskra K Bahut Deir Chup Raha,

MOHSIN

Jaise Hansi Ki Aarr Mein Koi Malal Rakhta Tha,

Suna Hai Log Usay Ab Bahut Satate Hain,

Jis Aik Shakhs Ka Mein Bahut Khayal Rakhta Tha..........! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai