Tujhse Bicharr Kar Kya Hoon Main, Ab Bahar Akar Dekh


POET:

MUNIR NIAZI

 

Tujhse Bicharr Kar Kya Hoon Main, Ab Bahar Akar Dekh

 Himmat Hai To Meri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh

 

Shaam Hai Gehri, Tez Hawaa Hai, Sar Pe Khari Hai Raat

 Rasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh

 

Darwaze Ka Paas Aa Aa kar Wapis Murrti Chaap

 Kaun Hai Iss Sunsaan Gali Main, Paas Bula Kar Dekh

 

Shayed Koi Dekhne Wala Ho Jaye Hairaan

 Kamre Ki Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh

 

Tu Bhi MUNIR Ab Bhare Jahaan Main Mil Kar Rehna Seekh

 Bahar Se To Dekh Liya, Ab Andar Jaa Kar Dekh..

**********NOMI**********


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai