Hai Aap K Honton Pe Jo Muskaan Waghaira Qurbaan Gaye Us Pe Dil-O-Jaan Waghaira

 

Poet:Anwar Masood

Type By

*.__NOMI__.*


 Hai Aap K Honton Pe Jo Muskaan Waghaira

Qurbaan Gaye Us Pe Dil-O-Jaan Waghaira

Bili To Yonhi Muft Main Badnaam Hoi Hai

Thaily Main To Kuch Aur Tha Samaan Waghaira

Be-Hers-O-Gharaz Farz Adaa Kijiye Apna

Jis Tarha Karti Hai Police Chaalaan Waghaira

Ab Hosh Nahi Koi K Baadaam Kahan Hai

Ab Apni Hatheli Pe Hai Dandaan Waghaira

Kis Naaz Se Wo Nazm Ko Keh Dety Hain Nesri

Jab Us K Khata Hoty Hain Ausaan Waghaira

Jamhoriyat Ek Tarz-e-Hakomat Hai K Jis Main

Ghoroon Ki Tarha Bikty Hain Insaan Waghaira

Har Shart Ki Bushart Bana Daali Hai "ANWAR"

 

**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein