Raaz Dil Ka Bata K Pachhtaye Un Ki Baaton Main Aa K Pachhtaye

 

Poet:Fozia Mughal

Type By

*.__NOMI__.*

 

Raaz Dil Ka Bata K Pachhtaye

Un Ki Baaton Main Aa K Pachhtaye

 

Haal Poochha Na Zindagi Main Kabhi

Khaak Main Wo Mila K Pachhtaye

 

Koi Apna Nazar Nahi Aaya

Un Ki Mehfil Main Jaa K Pachhtaye

 

Zakham-e-Dil Par Dawa Wo Kia Rakhte

Zakham Un Ko Dekha K Pachhtaye

 

Naam Hota Jo Ishq Main Marte

Hum To Daaman Bachha K Pachhtaye

 

Apne Ashkon Ko ''FOZIA" Pii Lo

Ye Na Ho Wo Rula K Pachhtaye...........!

 

**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein