Roshni Tere Chehre Pe Jo Gulaab Bannii _ Humari Rooh Mein Pahunchii To Izzteraab Bannii


Roshni Tere Chehre Pe Jo Gulaab Bannii

_

Humari Rooh Mein Pahunchii To Izzteraab Bannii

_

Wo Chaandni Jo Charaagho'n Ko Maat Deti Thii

_

Tere Jamaal Ka Lekin Kaha'n Jawaan Bannii

_

WoSardiyo'n Ki Kisi Sard Raat Ki Barish

_

Tumhaari Aankh Se Tappkii To Sharaab Bannii

_

Kisi Ki Aankh Mein Roshan Thay Manzilo'n K Suraagh

_

Kisi Ki Peyaas Meri Raah Ka Sahraab Bannii

_

Wo Aik Subah K Thii Ikhtesaar Mein Aik Saans

_

Wo Aik Shab Jo Tawala Mein Be-Hisaab Bannii

_

Teri Talab Ka Taqaza Thaa So Meri Hassti

_

KHUDA Ka Shukar Gunah'gaar Thaa Buhat Wo

_

Tumhaari Yaad Magar Baaiees-e-Sawaab Bannii.......!

 

**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai