>Sisakti Rut Ko Mehakta Gulaab Kar Doon Ga, Main Is Bahaar Mein Sab Ka Hisaab Kar Doon Ga


>Sisakti Rut Ko Mehakta Gulaab Kar Doon Ga,

Main Is Bahaar Mein Sab Ka Hisaab Kar Doon Ga

>Main Intezaar Main Hoon Tu Koi Sawaal To Kar,

Yaqeen Rakh Main Tujhe Lajawaab Kar Doon Ga

>Hazaar Pardon Me Khud Ko Chupa K Baith Magar,

Tujhe Kabhi Na Kabhi Be-Naqaab Kar Doon Ga

>Mujhe Yaqeen Hai K Mehfil Ki Roshni Hoon Main,

Unhein Ye Khaof K Mehfil Kharaab Kar Doon Ga

>Mujhe Gilaas K Andar Hi Qaid Rakh Warna,

Main Saare Shehr Ka Paani Sharaab Kar Doon Ga.........!

.

**********NOMI***********

 

Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein