Teri Aankhon K Darya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha Muhabbat Bhi Zaroori Thi Bicharna Bhi Zaroori Tha


Teri Aankhon K Darya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha

*

Muhabbat Bhi Zaroori Thi Bicharna Bhi Zaroori Tha

*

Zaroori Tha K Hum Dono Tawaf-e-Aarzoo Karte

*

Magar Phir Aarzoun Ka Bikharna Bhi Zaroori Tha

*

Batao Yaad Hai Tum Ko Wo Jab Dil Ko Churaya Tha

*

Churai Cheez Ko Tum Ne Khuda Ka Ghar Banaya Tha

*

Wo Jab Kehte Thay Mera Naam Tum Tasbeeh Main Phartay Ho

*

Muhabbat Ki Namazon Ko Qaza Karne Se Dartay Ho

*

Magar Ab Yaad Aata Hai Wo Batein Thein Mai'hez Batein

*

Kahin Baton Hi Baton Main Mukarna Bhi Zaroori Tha

*

Wohi Hain Soratein Apni  Wohi Main Hon Wohi Tum Ho

*

Magar Khoya Howa Hon Main Magar Tum Bhi Kahin Gum Ho

*

 Muhabbat Main Dagha Ki Thi So Kafir Hai So Kafir Hai

*

Mili Hai Manzilain Phir Bhi Musafir Thay Musafir Hai

*

Tere Dil K Nikle Hum Kahan Bhatkay Kahan Pahonchay

*

Magar Bhatkay To Yaad Aaya Bhatakna Bhi Zaroori Tha

*

Muhabbat Bhi Zaroori Thi Bicharna Bhi Zaroori Tha..........!

 *

*_*_*_*_*_*_*_NOMI_*_*_*_*_*_*_*


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai