Yaaro Kisi Qaatil Se Kabhi Piyaar Na Maango . Apne Hi Gale K Liye Talwaar Na Maango


Yaaro Kisi Qaatil Se Kabhi Piyaar Na Maango

.

Apne Hi Gale K Liye Talwaar Na Maango

.

Gir Jao Ge Tum Apne Masiha Ki Nazar Se

.

Mar Kar Bhi Ilaaj-e-Dil-e-Beemaar Na Maango

.

Khul Jai Ga Is Tarha Nigahon Ka Bharam Bhi

.

Kaanton Se Kabhi Phool Ki Mehkaar Na Mango

.

Sach Baat Pe Milta Hai Sada Zehar Ka Piyaala

.

Jeena Hai To Phir Jeene Ke Izhaar Na Mango

.

Us Chiz Ka Kia Zikar Jo Mumkin Hi Nahi Hai

.

Sehraa Mein Kabhi Saaya-e-Deewaar Na Mango

.

**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein