Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay, Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay

 

Poetess Naina'n

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay,

Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay,

Jis Din Ghar Say Bhag K Shehar Ponchi Thi,

Bhag Bhari K Bhag Usi Din Phootay Thay,

Mazhab Ki Bunyad Ye Kaya Taqseem Hui ?

Hamsayon Nay Hamsaye Hi Lootay Thay,

Shokh Nazar Ki Chutki Nay Nuqsan Kiya,

Hathon Say Chae K Bartan Chhootay Thay,

Aurrh K Phirti Hai Jo NAINA'N Sari Raat,

         Us Raisham Ki Shal Pay Yaad K Bootay Thay.................!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo