Aahat Si Koi Aaye To Lagta Hai K Tum Ho

 

Poet Jan Nisar Akhtar

Type bY
UJJRA_DIL

 

Aahat Si Koi Aaye To Lagta Hai K Tum Ho,

Saya Koi Lehraye To Lagta Hai K Tum Ho,

Jab Shakh Koi Hath Lagate Hai Chaman Mein,

Sharmaye Lachak Jaye To Lagta Hai Keh Tum Ho,

Sandul Se Mehaki Hui Pur'Kaif Hawa Ka,

Jhonka Koi Takraye To Lagta Hai Keh Tum Ho,

Aurrhe Huye Taron Ki Chamkti Hui Chadar,

Nadi Koi Bal Khaye To Lagta Hai Keh Tum Ho,

Jab Raat Gaye Koi Kiran Maire Baraabr,

Chup Chap Si So Jaye,

To Lagta Hai Keh Tum Ho.......................!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai