Aankhein Bhi Wahi Hain To Dareecha Bhi Wahi Hai, Aor Soch K Aangan Mein Utarta Bhi Wahi Hai


Aankhein Bhi Wahi Hain To Dareecha Bhi Wahi Hai,

Aor Soch K Aangan Mein Utarta Bhi Wahi Hai


Jis Ne Mere Jazbon Ki Sadaqat Ko Na Jana,

Ab Meri Rafaqat Ko Tarasta Bhi Wahi Hai


Is Dil Ke Kharaby Se Guzar Kis Ka Howa Hai,

Aankhein Bhi Wahi,Hont Bhi,Lehja Bhi Wahi Hai


Jo Kuch Bhi Kaha Tha Meri Tanhai Ne Tujh Se,

Is Sheher Ki Deewaar Pe Likha Bhi Wahi Hai


Wo Jis Ne Diye Mujh Ko Muhabbat Ke Khazaany,

Badal Ki Tarah Aankh Se Barsa Bhi Wahi Hai.............!


**********NOMI**********


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo