Bhulata Lakh Hon Lekin Barabar Yad Aate Hain ILAAHI Tark E Ulfat Par Wo Kiyon Kar Yad Aate Hain

 

Poet: Hasrat Mohani

 

Bhulata Lakh Hon

 

Bhulata Lakh Hon Lekin Barabar Yad Aate Hain
ILAAHI Tark E Ulfat Par Wo Kiyon Kar Yad Aate Hain

 Na Cher Ay Hamnasheen Kefiyat E Sahaba K Afsane

 Sharab E Be Khudi K Mujh Ko Sagar Yad Aate Hain 

 Raha Karte Hain Qaid E Hosh Mein Ay Wayi Nakami 

 Wo Dashit E Khud Faramoshi K Chakar Yad Aate Hain 

 Nahi Aati To Yad Un Ki Maheenon Bhar Nahi Aati

 Magar Jub Yad Aate Hain To Aksar Yad Aate Hain
Haqeeqat Khul Gayi Hasrat Tere Tark E Muhbat Ki
Tujhe To Ab Wo Pehle Se Bhi Barh Kar Yad Aate Hain...!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai