Chaand Meri Tarah Pighalta Raha, Neend Mein Saari Raat Chalta Raha

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*

 

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha,

Neend Mein Saari Raat Chalta Raha

Jaane Kis Dukh Se Dil Girifta Tha,

Munah Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha

Main To Paao'on Ke Kaantay Chunti Rahi,

Aor Wo Raasta Badalta Raha

Raat Jab Galiyon Mein Jab Bhatakti Thi,

Koi To Tha Jo Saath Chalta Raha

Sard Rut Mein,Musafiron Ke Liye

Payrr, Ban Kar Alaao, Jalta Raha

Mausami Bel Thi Main Sookh Gayi

Wo Tanawar Darakht,Phalta Raha

Dil,Mere Tan Ka Phool Sa Bachha,

Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha

Neend Hi Neend Mein Khilonay Liye

 Khuwaab Hi Khuwaab Mein Behelta Raha......!

 

**********NOMI**********

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo