Ek Shakhs Ko Dekha Tha Taroon Ki Tarah Hum Ne
Ek Shakhs Ko Chaha Tha
Apno Ki Tarah Hum Ne
Ek Shakhs Ko Samjha Tha Pholon Ki Tarah Hum Ne
Wo Shakhs Qayamat Tha Kya Us Ki Karein Batein
Din Us Ke Liye Paida Aur Us Ki He Thi Ratein
Kab Milta Kisi Se Tha Hum Se Thi Mulaqatein
Rang Us Ka Shahabi Tha Zulfon Mein Thi Mehkarein
Aankhein Thi Ke Jadu Tha
Palkein Thi Ke Talwarein
Dushman Bhi Agar Dekhe So Jan Se Dil Harey
Kuch Tum Se Woh Milta Tha
Baton Men Shahabat Thi
Han Tum Sa He Lagta Tha
Shokhi Mein Shararat Mein
Lagta Bhi Tum He Sa Tha
Dastur-E-Mohabbat Mein
Woh Shakhs Humein Ek Din Apno Ki Tarah Bhoola
Taroon Ki Tarah Dooba Phoolon Ki Tarah Toota
Phir Hath Na Aaya Woh Hum Ne Bohat Dhonda
Tum Kis Liye Chonkey Ho
Kab Zikar Tumhara Hai?
Kab Tum Se Taqaza Hai?
Kab Tum Se Shikayat Hai?
Ek Taza Hikayat Hai Sun Lo Tou Inayat Hai
Ek Shakhs Ko Cha'ha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne
Ek Taza Hikayat Hai Sun Lo Tou
Inayat Hai.......?
Comments
Post a Comment