Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhana, Kabhi Darkhaton Pay Naam Likhna,

 

Poet Hassan Abas

Singar Ustad Ghulam Ali

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhana,
Kabhi Darkhaton Pay Naam Likhna,

Hamein Bhi Hai Yaad Aaj Tak Wo Nazar Say Harf-E-Sallam Likhna,

Wo Chand Chehray,
Wo Behkti Batein,
Sulgati Din Thay,
Mehkti Ratein,

Wo Chhotay Chhotay Kaghzon Par,
Mohabbaton K Pyam Likhna,

Gulab Chehron Say Dil Lagana,
Wo Chhup K Chhup K Nazar Milana,

Wo Aarzwon K Khawab Bun'Na,
Wo Qisa-E-Na'Tamam Likhna,

Gayi Ruto Mein HASSAN Hamara,
Bas Ik Hi To Ye Mashghla Tha,

Kisi K Chehray Ko Subha Likhna,
Kisi Ki Zulfon Ko Sham Likhna,

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna,
Kabhi Darkhaton Pay Naam Likhna..............!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo