Khushi Ki Baat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hoon, Teri Aawaaz Ka Chehra Main Chhu Kar Dekh Sakti Hoon

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*

 

Khushi Ki Baat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hoon,

Teri Aawaaz Ka Chehra Main Chhu Kar Dekh Sakti Hoon


Abhi Tere Laboon Par Zikar Fasl-E-Gul Nahi Aaya,

Magar Ik Phool Khiltay Apne Andar Dekh Sakti Hoon


Kinaara Dhoondte Ki Chhaah Tak Mujh Main Nahi Ho Gi,

Main Apne Gird Aik  Aisa Samandar Dekh Sakti Hoon


Vasal-O-Hijar Apne Yaksaa'n Hain,Wo Manzar Hai Chahat Mein,

Main Aankhen Band Kar Ke Tujh Ko Aksar Dekh Sakti Hoon


Abhi Tere Siwa Dunya Bhi Hai Maujood Is Dil Mein,

Main Khud Ko Kis Tarah Tere Barabar Dekh Sakti Hoon........!

 

**********NOMI**********

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo