Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain

 

Poet Faiz Ahmad Faiz

Type By

*._Ayaz_Khan_.*

 

Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain,

Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain,

Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai,

Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain,

Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Rah Rakh Do,

Ke Lutne Lutane Ke Din Aa Rahe Hain,

Tapakne Lagi Un Nigahon Se Masti,

Nigahain Churane Ke Din Aa Rahe Hain,

Saba Phir Humain Poochti Phir Rahi Hai,

Chaman Ko Sajane Ke Din Aa Rahe Hain,

Chalo FAIZ Phir Se Kahin Dil Lagain,

Suna Hai Thikane Ke Din Aa Rahe Hain...!

Book
Naqsh e Faryadi

Page No, 87

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai