Raah Guzar K Charagh Hain Hum Log, Aap Apna Suragh Hain Hum Log,

 

Poet: Saghar Siddiqui

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Raah Guzar K Charagh Hain Hum Log,

Aap Apna Suragh Hain Hum Log,

Jal Rahay Hain Na Bujh Rahay Hain Dost,

Kis K Seenay Ka Dagh Hain Hum Log,

Khud Tahi Hain Mgar Pilatay Hain,

May Kaday K Ayaagh Hain Hum Log,

Dushmamon Ko Dost Kehtay Hain,

Kitnay Aali Dimaagh Hain Hum Log,

Chasham-E-Tehqeer Say Na Daikh Hamein,

Daamnon Ka Faraagh Hain Hum Log,

Aik Jhonka Naseeb Hai SAGHAR,

Us Gali K Chraagh Hain Hum Log...................*
.
Book
Qaraz Hai Tum Pay 4 Phoolon Ka
Page 87 88

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo