Raahzan Aadmi, Rehnuma Aadmi, Baar'ha Ban Chuka Hai Khuda Aadmi

 

Poet Saghar Sidiqui

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Raahzan Aadmi,
Rehnuma Aadmi,

Baar'ha Ban Chuka Hai Khuda Aadmi,

Aas Ki Moortein Poojtay Poojtay,

Aik Tasveer Si Ban Gaya Aadmi,

Khul Gaye Janton K Wahan Zaaichay,

Do Qadam Jhoom Kar Jab Chala Aadmi,

Subha Dam Chaand Ki Rukhsati Ka Samaa'n,

Jis Tarah Behar Mein Doobta Aadmi,

Zindagi Khankaah Shahood-O-Baqa,

Aur Loh-E-Mazaar-E-Fana Aadmi,

Kuch Fashiton Ki Taqdees K Wastay,

Seh Gaya Aadmi Ki Jafa Aadmi,

Goonjti Hi Reh Gayi Falak Dar Falak,

Hai Masheeat Ki Aisi Sada Aadmi..............*

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo