Shama Haram-E-Jaan Ya Mashal Butt Khana, Kia Kia Mein Kahon Tujh Ko Ay Jalwa-E-Jaana

 

Poet:Bedam Shah Warsi

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

 

Shama Haram-E-Jaan Ya Mashal Butt Khana,

Kia Kia Mein Kahon Tujh Ko Ay Jalwa-E-Jaana,

Manzil Mere Maqsad Ki Ka'aba Hai Na Butt Khana,

In Dono Se Aage Chal Ay Himat-E-Mardana,

Maykharon Ke Sadqe Mein Saqi Koi Paimana,

Maykhana Mein Dardi Kash Maykhana,

Sab Naqsh Khayali Hain ka'aba Ho Keh Buttkhana,

Too Mujh Mein Hai Mein Tujh Mein Ay Jalwa-E-Jaana,

Saqi Tere Aate Hi Ye Josh Hai Masti Ka,

Sheeshe Pe Gire Sheesha Paimane Pe Paimana,

Mera Dil Wiraan Bhi Aabaad Kai Jaana,

Ay Zeenat Har Mihfil Ay Sahib-E-Har Khana,

Zahid Meri Qismat Mein Sajde Hain Aisi Dar Ke,

Chhota Hai Na Chhote Ga Sang-E-Dar-E-Jaana,

Too Shama Sefat Ay Gul,Aaye Jo Sar-E-Mihfil,

Parwana Bane Bulbul,Bulbul Bane Parwana,

Mit Kar Bhi Rahe Baqi Jo Tujh Pe Mite Saqi,

Jab Mitte Hain Bante Hain Khaak-E-Dar Maykhana,

Yahan Kafar-O-Momin Ki Tafreeq Hai La Hasil,

Sab Yaar Ke Jalwe Hain Apna Hai Na Begana,

Kia Lutf Ho Mahshar Mein Shikwa Kiye Jaaon,

Wo Hans Ke Kehe Jaain Deewana Hai Deewana,

Maloom Nahi BEDAM Mein Kon Hon Aur Kia Hon,

Youn Apno Mein Apna Hon Beganon Mein Begana......!

Book

Mashaf-E-Bedam

Page No 79,80

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo