Theher Jaaye,Magar Raat Katay, Koi Soorat Ho Keh Barsaat Katay

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*

 

Theher Jaaye,Magar Raat Katay,

Koi Soorat Ho Keh Barsaat Katay


Khushbouein Mujh Ko Qalam Karti Gayein,

Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay


Mouj-E-Gul Hai Keh Talwaar Koi,

Darmiyan Se Hi Manajaat Katay


Harf Kiyon Apne Ganwaein Ja Kar,

Baat Se Pehle Jahan Baat Katay


Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab,

Aaj Ki Raat Tere Saath Katay


Poray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain,

Sir Katay,Jisam Katay,Zaat Katay..........!

 

**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai