Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai

 

Poetess: Latta Haya

 (Indian)

Type By

*.__NOMI__.*

 

Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai

 

*Jo Insaa,n Ko Jeenay Ka Andaaz Sikhata Hai...*

*Saanson Ki Aamad Ka Gehra Raaz Batata Hai...*

*Jo Ye Kehta Hai Dunya Kaise Ejaad Howi...*

*Aik Ghalti Se Kharij Aadam A.S Ki Faryaad Howi...*

*Jo Ye Kehta Hai,Dunya Ko Aik Saza Samjho...*

*Apne Hone Main ALLAH Ki Sirf Raza Samjho...*

*Jo Ye Kehta Hai, Keh Jo Kuch Bhi Hai, Faani Hai...*

*Kehtay Hain Hum Jise Qayamat,Wo To Aani Hai...*

*Kaise Hoti Subah,Kaise Shaam Batata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

*Jahan Burai Khatam,Shuro Islam Wahan Se Hai...*

*Apne Bandon Ko Uska Paigham Wahan Se Hai...*

*Aik Mukamal Jis Ne Ye Qanoon Banaya Hai...*

*Us Ne Apne Bandon Ko Har Gaam Sikhaya Hai...*

*Kaise Jeena Hai Tum Ko Aor Kaise Marna Hai...*

*Is Dunya Main Reh Kar Kia Karnama Karna Hai...*

*Har Achi Baton Ka Hukam Humain Jo Deta Hai...*

*Aor Aakhrat Ban Jai,Ye Deen Hi Aisa Hai...*

*Jo Insan Ko Aik Kaamil Insaa'n Banata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

* Aaj Jahan Main Dekho To Har Aor Burai Hai...*

*Aur Badi Se Neki Ki Ghanghoor Lar'rai Hai...*

*Insaa'n Ne Daolat Ko Apna Dharam Banaya Hai...*

*Aor Gunahon Ko Hi Apna Karam Banaya Hai...*

*Kis Ko Hai Parwah Faraiz Aur Usoolon Ki...*

*Dunya Yaad Rahi Bhoolay Har Baat Nabiyon Ki...*

*Zaat Paat Main Rehtay Rahe Tangen Maara Maari...*

*Arey! Faisalay K Din Ki Bhi Kar Lo Tayaari...*

*Ibrat Sa Hai Jo Janat Ki Raah Dekhata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

*Dunya Main Aay Ho To Insaa'n Bano Pehle...*

*Jis Ki Ummat Main Ho,Us Ki Raah Chalo Pehle...*

*Us Ki Farmanbardari Ka Naam Muhabbat Hai...*

*Yahi Aqeeda Kehlay Aor Yahi Ibadat Hai...*

*Ved Ho Ya Toreet Keh Ho Injeel Ho Ya Quran...*

*Lekin Deen-e-Fitrat Deen-e-Qayyam Hi Hai Penhan...*

*Wo Keh Jo Eman Nahi Laye Phachtaein Gy...*

*Jab Dozakh Ki Takleefon Ko Seh Na Paein Gy...*

*Dozakh Chahe Eman Yaqeen Aur Ilam Bar'rhata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

*Jo Hazrat Nooh Par Utra, Islam Wahi To Hai...*

*Aap Muhammad(p.b.u.h) Tak Pahuncha, Islam Wahi To Hai...*

*Zikar Hai Jis Ka Vedon Main, Islam Wahi To Hai...*

*Aor Quran K Sorhon Main, Islam Wahi To Hai...*

*Jo Samjhaya Nabiyon Ne Islam Wahi To Hai...*

*De Islah Hadeeson Ne, Islam Wahi To Hai...*

*Jo Eman Majmal Hai,Islam Wahi To Hai...*

*Aor Eman Mufasal Hai,Islam Wahi To Hai...*

*Jo Kalma-E-Tayyab Pehle pehel Parhata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

*Main Ne Socha Butt Ko Pojon Rooh Nahi Maani...*

*Isko Pojon Usko Pojon Kia Hai Man Maani...*

*Daolat Poja,Kursi Poja Aur Lahoo Poja...*

*Pathar Poja,Ghar Ki Poja Aur Pashoo Poja...*

*Jo Kuch Hai Bas Aik Wahi Bas Aik Wahi Naadaa'n...*

*Insaa'n Ko Bhagwaan Samajhna Hai Us Ka Atmaan...*

*Is Se To Behtar Hai,Keh Tum Khud Ko Pehchano...*

*Bhale Gunahon Se Bach Jao Baat Meri Maano...*

*Jis K Zareye Insaa'n Aaj Duaen Pata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

*Is Mazhab Main Dunya Ka Har Raaz Numayan Hai...*

*Jeenay Se Marnay Tak Ka Har Taor Bataya Hai...*

*Hai Pabandi Kalmon,Rozon Aur Namazon Ki...*

*Hajj Lazim Hai,Aur Likhi Farhst Zakaton Ki...*

*Insaa'n K Har Aik Amal Ki Khaas Duaen Hain...*

*Aik Aik Sorah Main Maalik Ki Laakh Shuaen Hain...*

*Jaise Maa'n Bachay Ko Achi Baat Sikhati Hai...*

*Apne Liye Toheed Samajh Emaan Banati Hai...*

*Aur Hidayat Jis Ko De Maalik Wo Paata Hai...*

*Jis K Zareye Insaa'n Aaj Duaen Pata Hai...*

*Is Main Hai Tahzeeb,Sadaqat Aur Wafadaari...*

*Ghoonghat Aanchalnay Ki Lajja Aur Pardadaari...*

*Izzat,Ghairat Aik Saleeqa Aur Bhalai...*

*Mazboti,Behbodi Zaahir Sirf Khudai Hai...*

*Ye To Bas Aamaal,Adab,Akhlaaq,Nifasat Hai...*

*Shirk Nahi Hai,Kufar Nahi Hai,Sirf Ata'at Hai...*

*Bar're Buzargon Ki Izzat Na Walid Ka Samman...*

*Bachon Ko Bachpan Se Dekhlatay Hain Quran...*

*Isi Liye Ye Dharam "HAYA" K Dil Ko Bhata Hai........!

 

**********NOMI**********

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo