Poet Dagh Dehlvi
Type By
Khan61
UJRA_DIL
Apne Shagirdon Ko Ye Aam Hadayat Hai Meri
K Samjh Lein Teh-E-Dil Se Wo Baja-O-Beja,
Sheir Goi Mein Rahein Mad-E-Nazar Ye Batein,
K Baghair Un K Fasahat Nahi Hoti Paida,
Chast Bandish Ho Na Ho Sat Yehi Khoobi Hai,
Wo Fasahat Se Gira Sheir Mein Jo Harf Daba,
Arbi Farsi Alfaz Jo Urdu Mein Kahein,
Harf-E-Ilat Ka Bura Un Mein Hai Girna Dabna,
Alif Wasal Agar Aaye To Kuch Aib Nahi,
Lekin Alfaz Mein Urdu K Ye Girna Hai Rawa,
Jin Mein Gunjlak Na Ho Thori Bhi Sarahat Hai Wohi,
Wo Kanaya Hai Jo Tasreeh Se Bhi Ho Aola
Aib-O-Khoobi Ka Samjhna Hai Ek Amar Nazuk,
Pehle Kuch Aur Tha Ab Rang-E-Zaban Aur Howa,
Yehi Urdu Hai Jo Pehle Se Chali Aati Hai,
Dehli Ne Usay Aur Se Ab Aur Kia,
Mustanad Ehl-E-Zaban Khas Hain Dili Wale,
Us Mein Ghairon Ka Tasaruf Nahi Mana Jata,
Jo Hari Naqad Sukhan K Hain Parkhne Wale,
Hai Wo Taksaal Se Bahir Jo Kasoti Na Charha,
Baz Alfaz Jo Do Aaye Hain Ek Maani Mein,
Aik Ko Tark Kia Aik Ko Qaim Rakha,
Tark Jo Lafz Kia Ab Wo Nahi Mustamal,
Agle Logon Ki Zaban Par Wohi Deta Tha Maza
Gar Cheh Tanqeed Buri Hai Magar Achi Hai Kahein,
Ho Jo Bandish Mein Munasib To Nahi Aib Zara,
Sheir Mein Hashoo-O-Zawaid Bhi Bure Hote Hain,
Aisi Bharti Ko Samjhte Nahi Shaair Acha,
Gar Kisi Sheir Mein Etaaye Jali Aata Hai,
Wo Bara Aib Hai Kehte Hain Usay Be Maani,
Ista'ara Jo Maze Ka Ho Maze Ki Tashbeeha,
Us Mein Ek Lutf Hai Us Kehne Ka Phir Kia Kehna,
Istalah Achi Misal Achi Ho Bandish Achi,
Roz Mara Bhi Rahe Saf Fasahat Se Bhara,
Hai Izafat Bhi Zaroori Magar Aisi To Na Ho,
Aik Misar-E-Mein Jo H6 Char Jaga Bal K Siwa,
Atf Ka Bhi Yehi Haal Yehi Sorat Hai,
Wo Bhi Aaye Mutawali To Nihayat Hai Bura,
Laf-O-Nashar Aaye Muratab Wo Bahut Acha Hai,
Aur Ho Ghair Muratab To Nahi Kuch Beja,
Sheir Mein Aaye Jo Ayeham Kisi Moqa Par,
Kaifiat Us Mein Bhi Hai Wo Bhi Nihayat Acha,
Jo Na Marghoob Tabiat Ho Buri Hai Wo Radeef,
Sheir Be Lutf Hai Gar Qafia Ho Be Dhanga,
Aik Misara Mein Ho Tum Doosre Misra Mein Ho TO,
Ye Shitar Garba Howa Main Ne Isay Tark Kia,
Chand Behreen Mutaarif Hain Faqt Urdu Mein,
Farsi Mein Arbi Mein Hain Magar In K Siwa,
Sheir Mein Hoti Hai Shaair Ko Zaroorat Us Ki,
Gar Arz-O-Us Ne Parha Wo Hai Sukhan Wardana,
Mukhtasar Ye Hai K Hoti Hai Tabiat Ustad,
Deen ALLAH Ka Hai Jis Ko Ye Nemat Atta Ho,
Be Asar K Nahi Hota Kabhi Maqbool Kalam,
Aur Taseer Wo Shaye Hai Jise Deta Hai Khuda,
Gar Che Dunia Mein Howay Aur Hain Lakhon Shaair,
Kasab-E-Fun Se Nahi Hoti Hai Ye Khoobi Paida,
Syed Ahsan Jo Merd Dost Bhi Shagird Bhi Hain,
Jin Ko ALLAH Ne Di Fikar-E-Rasa Taba-E-Rasa,
Sheir K Husn-O-Qabah Jo Unhon Ne Poche,
Un Ki Darkhawast Se Ek Qatta Barjasta Kaha,
Pand Nama Jo Kaha Dagh Ne Bekaar Ne,
Kaam Ka Qatta Hai Ye Waqt Pe Kaam Aaye Ga..!
Comments
Post a Comment