Ay Andhere Dekh Le Munah Tera Kaala Ho Gaya Maa Ne Aankhen Khol Den Ghar Mein Ujala Ho Gaya


Ay Andhere Dekh Le Munah Tera Kaala Ho Gaya

Maa Ne Aankhen Khol Den Ghar Mein Ujala Ho Gaya

 

Istarah Mere Gunahon Ko Wo Dho Deti Hai

Maa Buhat Ghusse Mein Hoti Hai To Ro Leti Hai


Bulandiyun Ka Bade Se Bada Nishan Chhowa

Uthaya God Mein Maa Ne Tab Aasman Chhowa


Kisi Ko Ghar Mila Hissa Mein Ya Koi Dukaan Aayi

Main Ghar Mein Sab Se Chota Tha Mere Hissa Mein Maa Aayi


Bulandi Der Tak Kis Shakhas K Hissa Mein Rehti Hai

Buhat Oonchi Emarat Har Ghari Khatre Mein Rehti Hai


Buhat Jii Chahta Hai Qaid Jahan Se Hum Nikl Jaye

Tumhari Yaad Bhi Lekin Isi Malbay Mein Rehti Hai


Ye Aisa Qarz Hai Jo Main Ada Kar Hi Nahi Sakta

Main Jab Tak Ghar Na Laoton Meri Maa Sajdy Mein Rehti Hai


Meri Khuwahish Hai Keh Main Phir Se Fareshta Ho Jaon

Maa Se Istarah Lipat Jaon Keh Bacha Ho Jaon

 

Kam Se Kam Bachon K Honton Ki Hansi Ki Khatir

Aisi Matti Mein Milana Keh Khilona Ho Jaon


Mujh Ko Har Haal Mein Bakhashny Ka Ujala Apna

Chhand Reshty Mein Nahi Lagta Hai Mama Apna


Main Ne Rotay Howe Ponchay Thay Kisi Din Ansoo

Mudaton Maa Ne Nahi Dhoya Dopatta Apna


Umar Bhar Khali Yun Hi Hum Ne Makaan Rehne Diya

Tum Gaye To Dosre Ko Kal Yahan Rehne Diya


Main Ne Kal Shab Chahaton Ki Sab Kitaabein Phaad Den

Sirf Aik Kaghaz Par Likha Shabad Maa Rehne Diya...!

 

**********NOMI**********


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha