Choota Jo Tera Haath To Hum Toot Ke Roye Tum Jo Na Rahe Saath To Hum Toot Ke Roye


Choota Jo Tera Haath To Hum Toot Ke Roye

Tum Jo Na Rahe Saath To Hum Toot Ke Roye


Chahat Ki Tamanna Thi Aur Zakham Diye Tum Ne

Paayi Jo Ye Saughaat To Hum Toot Ke Roye

 

Imkaan Na Tha Door Talak Tajdeed-E-Talluq Ka

Dekhe Jo Ye Halaat To Hum Toot Ke Roye


Anjaan Thy Hum Ab Tak Dard Ki Sorat Se

Hoi Jo Mulaqaat To Hum Toot Ke Roye


Logon Se Buhat Poocha Sabab Veerani ka

Jo Soojhi Na Koi Baat To Hum Toot Ke Roye


Thii Dhoop Buhat Taiz Har Simat Judayi Ki

Barsi Jo Na Barsaat To Hum Toot Ke Roye


Din Bhar To Rahe Chup Ke Dunya Ki Nazron Se

Bheegi Jo Siyaah Raat To Hum Toot Ke Roye


Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna Hi Ik Hissa

Tukr'ron Mein Batti Zaat To Hum Toot Ke Roye

 

Hum Karte Rahe Kiyon Us Chhand Ki Khuwahish

Yaad Aayi Jo Aukaat To Hum Toot Ke Roye

 

**********NOMI**********

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo