Hashar Ka Samaan Rehta Hai, Ya Wasl Ka Imkaan Rehta Hai,


Poetess: Noshi Gilani


Hashar Ka Samaan Rehta Hai,

Ya Wasl Ka Imkaan Rehta Hai,

Is Raste Se Us Ki Gali Tak,

Aik Charaghan Rehta Hai,

Barf Pe Dhoop Ka Jism Bhi Dekho,

Din Bhar Raqsan Rehta Hai,

Khaima-E-Sham Saja Lete Hain,

Jashan Ka Samaan Rehta Hai,

Dil K Liye To Harf-E-Dua Mein,

Dard Ka Darmaan Rehta Hai,

Jane Ki Ki Khoj Mein Tera,

Deeda-E-Hairaan Rehta Hai,

Rat Dhale Ek Khawab Ka Chehra,

Roz Paishmaan Rehta Hai...!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo