Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain, Ye Phool Khushbo Ki Raigani Se Dar Gaye Hain


Poetess: Noshi Gilani

 

Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain,

Ye Phool Khushbo Ki Raigani Se Dar Gaye Hain,

Humain Bhi Rukhsat Ki Rasam Kuch To Banana Thi,

Tumhari Aankhon Mein Aaye Pani Se Dar Gaye Hain,

Ye Tere Jitne Fiza Mein Aa Kar Tehr Gaye Hain,

Kisi Parinde Ki Be Zabani Se Dar Gaye Hain,

Unhein Bhi Daria Mein Apni Kashti Utarna Thi,

Jo Log Lehron Ki Sar Garani Se Dar Gaye Hain,

Ye Hum Jo Shehr-E-Wafa Mein Gum Sum Khare Howay Hain,

Phir Aik Taza Ghalat Biyani Se Dar Gaye Hain,

Abhi To Dil Ko Udas Karti Nahi Hain Shaamein,

Humain Bhi Sahil Pe Geet Likhna Thay Sipion Se,

Magar Hawaon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain...!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai