Jab Bhi Rut Gadraai Muasam Bheega Aankhein Bheeg Gai


Poet Farhat Abaas Shah

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Jab Bhi Rut Gadraai Muasam Bheega Aankhein Bheeg Gai,

Jab Bhi Chaand Zara Aangan Pe Thehra Aankhein Bheeg Gai,

Taiz Hawa Jab Hum Ko Pagal Keh Kar Pas Se Guzri To,

Hum Ne Us Ki Baat Pe Hansha Chaha Aankhein Bheeg Gai,

Koi Sard Hawa Ka Jhonka Chhoo Kar Guzra Baalo Ko,

Koi Baadal Sa Aankhon Mein Utra Aankhein Bheeg Gai,

Kal Main Yonhi Gher Iraadi Tor Pe Sada Kaghar Par,

Likhte Likhte Jane Kaya Likh Betha Aankhein Bheeg Gai,

FARHAT Jee Mat Poochho Hum Jese Deewanon Ki Khushiyaan,

Hanste Hanste Jounhi Dil Mein Jhanka Aankhein Bheeg Gai...................*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo