Jeevan Ko Dukh,Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Paani Kehte Bache Lekin Soye Hove Thay Kis Ko Kahani Kehte


Jeevan Ko Dukh,Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Paani Kehte

Bache Lekin Soye Hove Thay Kis Ko Kahani Kehte


Sach Kehne Ka Hosala Tum Ne Cheen Lia Hai  Warna

Sheher Main Phaili Veerani Ko Sab Veerani Kehte


Waqt Guzarta Jata Aur Ye Zakham Harey Rehte To

Bar'ri Hifazat Se Rakhi Hai Teri Nishaani Kehte


Wo To Shayed Dono Ka Dukh Aik Jaisa Tha Warna

Hum Bhi Pathar Marte Tujh Ko Aur Deevani Kehte


Tabdeeli Sachayi Hai Is Ko Mante Lekin Kaise

Aayine Ko Dekh Ke Ik Tasveer Puraani Kehte


Tera Lehja Apnaya Ab Dil Mein Hasrat Si Hai

Apni Koi Baat Kabhi To Apni Zubaani Kehte


Chup Reh Kar Izhaar Kia Hai Keh Sakte To "ANEES"

Aik Alaheda Tarz-e-Sukhan Ka Baani Kehte.........!

 

**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai