Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota, Too bare Pyar Se Chao Se Baray Maan K Saath



Poet Wasi Shah

Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota,

Too bare Pyar Se Chao Se Baray Maan K Saath,

Apni Nazuk Si Kalaai Mein Charhaty Mujh Ko,

Or Betaabi Se Furqat K Khiza Lamhon Mein,

Tuo Kisi Soch Mein Doobe Jo Ghumate Mujh Ko,

Main Tere Haath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata,

Jab Kabhi Mood Mein Aakar Mujhe Chooma Karti,

Tere Honton Ki Main Hiddat Se Dehak Sa Jata,

Raat Ko Jab Bhi Tu Neend K Safar Pe Jati,

Marmarin Haath Ka Ek Takiya Banaya Karti,

Main Tere Kaan Se Lag Kar Kaii Baatain Karta,

Teri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Choomaa Karta,

Kujh Ko Betaab Sa Rakhta Teri Chaahat Ka Nasha,

Main Teri Rooh K Gulshan Mein Mehakta Rehta,

Main Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta,

Kuch Nahi To Yehi Benaam Sa Bandhan Hota,

Kash Main Tere Hanseen Haath Ka Kangan Hota.


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo