Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna, Bahut Aasan Nahi Hota Judai Mangte Rehna


Poetess: Noshi Gilani

 

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna,

Bahut Aasan Nahi Hota Judai Mangte Rehna,

Zara Sa Ishq Kar Lena Zara Si Aankh Bhar Lena,

Phir Us K Bab Mein Sari Khudai Mangte Rehna,

Kabhi Mehroom Honton Par Dua Ka Harf Rakh Dena,

Kabhi Wehshat Mein Us Ki Narsai Mangte Rehna,

Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jati Hai,

Kahani Mein Zara Si Bewafai Mangte Rehna,

Ajab Hai Wehshat-E-Jan Bhi K Aadat Ho Gai Dil Ki,

Sakoot-E-Sham-E-Gham Se Hum Nawai Mangte Rehna,

Kabhi Bache Ka Nanhe Hath Par Tittli K Par Rakhna,

Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna...!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai