Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana, Thakan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana,


Poetess Noshi Gilani

 

Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana,

Thakan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana,

Main Likh Rahi Hon Kahani Teri Rafaqat Ki,

Jo Ho Sake To Koi Harf Motabar Lana,

Yehi Na Ho K Musalsal Wafa Thaka Dale,

Mohabbaton Mein Naya Pan Talash Kar Lana,

Jo Koh-E-Qaf Chale Ho To Chand Chehron Ka,

Mujasma Koi Acha Tarash Kar Lana,

Safar K Shoq Mein Chal To Pare Ho Tum Ghar Se,

Dukhon K Gird Se Daman Na Apna Bhar Lana,

Ajab Fiza Hai Jahan Sans Le Rahe Hain Hum,

Gharon Ko Lout K Aana To Chashm-E- Tar Lana..!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo