Pardes Ki Eid ,Kiya Sunain Kis Haal Mein Aati Hai Pardais Mein Eid, Nikal Aate Hain Aansoo Jab Yaad Aati Hai Dais Ki Eid,

 

Kiya Sunain Kis Haal Mein Aati Hai Pardais Mein Eid,

Nikal Aate Hain Aansoo Jab Yaad Aati Hai Dais Ki Eid,


Rahain Wo Khush-o-Khurram Ghar Mein Apne,

Jin K Liye Hum Ko Rulati Hai Pardais Ki Eid,


Aate Hain Yaad Jab Wo Phool Se Chehre,

Us Lamhe Hum Ko Kitna Tadpati Hai Pardais Ki Eid,

 

Kis Se Galay Milein,Kise Kahein Ge Apna Hum,

Bas Yun Hi Tanhayi Mein Guzar Jati Hai Pardais Ki Eid,


Kehtay Hain Har Baar Bas Pardais Ki Hai Ye Akhri Eid,

Aglay Saal Phir Aa Jati Hai Pardais Ki Eid...!



Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai