Soch Lo Chalne Se Pehle Rasta Dushwar Hai, Ishq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Deewar Hai

 

Poetess Noshi Gilani

 

Soch Lo Chalne Se Pehle Rasta Dushwar Hai,

Ishq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Deewar Hai,

Phir Fareib-E-Roz-O-Shab Ki Dosti Mumkin Nahi,

Kar Dia Inkar So Inkar Hai Inkar Hai,

Itna Khush Hon Nahi Acha Ab Us K Qurb Mein,

HIJAR Bhi In Wasl K Lamhon Ka Hisa Daar Hai,

Is Taraf To Raston Mein Dhool Si Urne Lagi,

Ab To Ja K Dekhna Hai Jo Samandar Paar Hai,

Phir Hawa-E-Shehr Mujh Se Munharif Hone Lagi,

Phir Mere Honton Pe Tere Naam Ki Takraar Hai,

Ab Kahan Chooye Gi Us K Dil K Sach Ki Roshni,

Jis K Hathon Mein Abhi Tak Jhoot Ki Talwar Hai..!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai