Tahzeeb Be-Naqaab Ki Aankhein Nikaal Do Us Quam K Shabbaab Ki Aankhein Nikaal Do



Poet:Saghar Siddiqui

Tahzeeb Be-Naqaab Ki Aankhein Nikaal Do
Us Quam K Shabbaab Ki Aankhein Nikaal Do

Jis Ki Sada Nay Waqt Ko Baidar Kar Diya
Us Sahib-e-Kitaab Ki Aankhein Nikaal Do

Ab Manzil-e-Wafa Ki Zaroorat Nahi Rahi
Har Azam-e-Kamyaab Ki Ankhein Nikaal Do

Jis Nay Sama'aton Ko Diya Dars-e-Be-Khodi
Us Naghma-e-Rabbab Ki Aankhein Nikaal Do

Jis Main Na Ho Baseerat-e-Insan Ki Chaandni
Us Sheesha-e-Sharaab Ki Aankhein Nikaal Do

Makhmoor Gaisowon Ki Ghataon Ka Wazan Hai
Pur Noor Mehtaab Ki Aankhein Nikaal Do

SAGHAR
Nikhar Sakay Na Jahan Nighat-e-Khodi
Us Qariya-e-Gulaab Ki Aankhein Nikaal Do..........!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai