Ye Dolat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo


Singr Jag Jeet Singh

Type bY
UJRRA_DIL

Ye Dolat Bhi Le Lo
Ye Shohrat Bhi Le Lo,

Bhale Chheen Lo Mujh Se Meri Jawani,

Mgar Mujh Ko Lota Do,
Wo Bechpan Ka Sawan,
Wo Kaghaz Ki Kashti,
Wo Barish Ka Pani,

Muhle Ki Sub Say Purani Nishani,

Wo Burrhiya Jise Beche Kehte Thay Nani,

Wo Nani Ki Baton Pe Pariyon Ka Dera,

Wo Chehare Ki Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phaira,

Bhulaye Nahi Bhool Sakta Hai Koi,

Wo Chhoti Si Ratein,
Wo Lambi Kahaani,

Karri Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna,

Wo Chirriya Wo Bulbul,
Wo Titli Pakrrna,

Wo Gurriya Ki Shadi Pe,
Larrna Jhagrrna,

Wo Jhoolon Se
Girna,
Wo Gir K Sanbhlna,

Wo Peetal K Chhalo'n K Pyare Se Tohfay,

Wo Tooti Hui Choorriyon Ki Nishani,

Wo Kaghaz Ki Kashti,
Wo Barish Ka Pani................!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai