Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun


Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun
Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun

Gul Tere Dil Mein Khilain Aur Mehek Jaon Mein
Isi Rishtay Mein Har Insaan Ko Pirona Chaahun

Kiun Ganwaara Ho Tere Dard Mein Bhi Shirkat-e-Gair
Tu Jo Yaad Aaye Tou Tanhaayi Mein Rona Chaahun

Justuju K Lye Rehta Hai Bahaana Darkaar
Kho Ke Paaya Jisay, Paakar Ose Khona Chaahun

Chaah Raha Hai Mere Andar Gham-e-Anjaam Ka Abar
Khush Bhi Hota Hun Tou Aankhon Ko Bhigona Chaahun

Mein Hun Ik Tarfa Bhikaari, Koi Meri Bhi Suno
Raat Ke Farsh Pe Kirnon Ka Bichona Chaahun

Yun Tou Ik Phool Ki Patti Se Behel Jaata Hun
Mein Machal Jaon Tou Sehra Ka Khilona Chaahun

Mera Mansab Nahi Paighambar-e-Fun Bannay Ka
Mein Tou Ahsaas Ko Lafzon Mein Samona Chaahun

Is Zamaanay Ka Ajab Tarz-e-Tassawaf Hai
Ke Mein Qatray Mein Samandar Ko Dubona Chaahun


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai