Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loongaa Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loongaa


Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loonga

 Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loonga

Agar Mujhe Na Milein Tum Tumhaare Sar ki Qasam
Main Apni Saari Jawaani Tabaah Kar Loonga

Mujhe Jo Dair-o-Haram Mein kaheen Jagah Na Mili
Tere Khiyaal Hi ko Sajdaagaah Kar Loonga

Jo Tum Se kar Diyaa Mehroom Aasmaan Ne Mujhe
Main Apani Zindagi Sarf-e-Gunaah Kar Loonga

Raqeeb Se Bhi Milongaa Tumhaare Hukm Pe Main
Jo Ab Talak Na kiyaa Thaa Ab Aah Kar Loonga

Tumhaari Yaad Mein Main kaat Doongaa Hashr K Din
Tumhaare Hijar Mein Raaten Siyaah kar Loonga

Hareem-e-Hazrat-e-Salamaa ki Simt Jaataa Hoon
Howa Na zabt To Chupake Se Aah Kar Loonga

Yeh Naubahaar Yeh Abr-o-Hawaa Yeh Rang-e-Sharaab
Chalo Jo Ho So Ho Ab To Gunaah Kar Loonga

kisi Haseenaa Kay Masoom Ishq Mein Akhtar 

Jawaani kiya Hai Main sab kuch Tabah Kar Loonga.


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai