Hamari aankhain bhi ho jaen khoobru aankhain, Hamari aankhon pe rakh de kabhi jo tuu aankhain

 

Dr.Majid Deobandi

Hamari aankhain bhi ho jaen khoobru aankhain
Hamari aankhon pe rakh de kabhi jo tuu aankhain

Hamaisha rehti hain teri talash main janaan

Hamaisha kerti hain teri hi aarzu aankhain

Na janay konsay jalwon ki justuju hai inhain

Bhatak rahi hain faza main jo chaarsu aankhain

Ye mojza bhi to kuch kam nahi k shaam_o_sehar

Tumharay hijer main rehti hain baa’wazu aankhain

Tera firaq, teri justuju, teri hasrat

Ye zakhm zakhm tabasum lahuu lahuu aankhain

Naseeb mera bhi roshan ho surat_e_mehtaab

Kbhi jo ker dain mohabat ko surkhruu aankhain

Bicher ke tujh say main zinda na reh sakon shayad

Na phairna kabhi meri taraf say tuu aankhain

Tumhain jo choo lu’n to hathon say khushbuyen phutain

Tumhain jo daikhoon to ho jaen khobru aankhain

Jahan labon ko hilana bhi jurm ho Majid

Wahan isharon main kerti hain guftgu aankhain.........



Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha