Hans Hans Ke Zindagi Ki Dua De Gaya Mujhe Wo Shaks Bhee Ajeeb Saza De Gaya Mujhe


Hans Hans Ke Zindagi Ki Dua De Gaya Mujhe

 Wo Shaks Bhee Ajeeb Saza De Gaya Mujhe

Sookhay Howay SHajar Ki Barhana Si SHaakh Par

 Do PanchioN ka Raqs Maza De Gaya Mujhe

Dam Ghut Raha Tha Zehen Ki Jalti FizaaoN Mein

 Jhonka Tere Nafs Ka Hawa De Gaya Mujhe

Lamhon Ke Is Hajoom Mein Maqtal Ke Morr Par

Mein Sochta Hun Kon Sada De Gaya Mujhe

Mein Jaagtay DinoN Mein CHupaata Kahan Badan

 Wo BHeegti ShaboN Ki Ridda De Gaya Mujhe

Ik Barg-e-Zard Khusk Si Tehni Se Toot Kar

 Awaara ManziloN Ka Pata De Gaya Mujhe

Mere Badan Pe Kitna Puraana Libaas Tha

 Tera Mizaaj Rang Naya De Gaya Mujhe


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha