Hum nagri nagri jate hain aur ghar ghar geet gaatey hain Hum galiyon galiyon, aangan aangan pyar ke deep jalate hain

 

Poet:Iqbal Azeem

Hum nagri nagri jate hain aur ghar ghar geet gaatey hain

Hum galiyon galiyon, aangan aangan pyar ke deep jalate hain

Hum khushbu ke saudaagar hain aur sauda sacha karte hain

Jo gaahak phoolon jesa ho hum bin’daamon bik jate hain

Hum sheher-e-wafa ke logon ka tum haal bhla kya jano ge

Hum dil ko chot chupatey hain aur aansoo pee jatey hain

Jo log sharafat waley hain, woh qadrey buzdil hite hain

Dushman se nahin dartey woh magar, kam’zarfon se ghabratey hain

Hum sachey hain, yeh kese kahen, sach sab ke bass ki bat nahin

Jo sachhi baatain karte hain, woh peghambar kehlaatey hain

IQBAL to adnaa’a khadim hai, arbaab ilm-o-danish ka

Yeh aap ka husn-e-samaat hai jo is pe karam farmaatey hain.......

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai