Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed, Us ne mera koi rishta bhi nahin tha shayed


Poet:Iftikhar Arif

Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed,
Us ne mera koi rishta bhi nahin tha shayed,

Halqat-e-yaar main jis haar ke charchey hain bohat,
Main woh baazi kabhi khelaa bhi nahin tha shayed,

Zeest karne ke sab adaab usey azbar they,
Mujh ko marney ka saleeqa bhi nahin tha shayed,

 Khaak urratey huye bazaron mein dekha sab ne,
Main kabhi ghar se nikla bhi nahin tha shayed,

Us ki ankhon mein bashaarat thi naye khawbon ki,
Main usey dekh ke chonka bhi nahin tha shayed,

Aik baadal ke mere naam se mansoob hua,
Mere sehra main to barsa bhi nahin tha shayed..

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo