Iss jeevan main mohabbat ko na tum sumjhay na main sumjha, Jahan main rasm-e-ulfat ko na tum sumjhay na main sumjha


Iss jeevan main mohabbat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Jahan main rasm-e-ulfat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Ba-zahir ishq sumander main uterna tau laga asaan,
Magar iss ssfar-e-chahat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Ksttay jo roz-o-shab apnay hijer ke Aah-o-zaari main,
Tanhye ke akoobat ko na tum samjhay na main sumjha,

Wasal ke wo haseen lumhay jinhay hum yaad kertay hain,
Haqeeqat main uss qurbat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Chalay sargosheyan kertay hum bund aankhain jin ruston per,
Onn ruston ke banawat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Uthha ke sar hajoom-e-shaher main phirna bhe ghalti thhee,
Jahan walon ke aadat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Humain purkaif lumhon main milay jo dost bun bun ker,
Chhupi dil mein adawat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Yehi jana hay shaukat nay bus apni kahani main,
Mohabbat ke haqeeqat ko na tum sumjhay na main sumjha..


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai