Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya


Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya
Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya

Jis nay morr k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parra
Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya

Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha
Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya

Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha
Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya

Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa
Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya

Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main
Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya

Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka
Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya

Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay
Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo