Jo beeti hai woh dohraaney mein kuch waqt lage ga Iss gham ko ik yaad bananey mein kuch waqt lage ga


Shabnam Shakeel

Jo beeti hai woh dohraaney mein kuch waqt lage ga

 Iss gham ko ik yaad bananey mein kuch waqt lage ga

Neend to aaney ko thi per dil pichey qissay le betha

Ab khud ko be’waqt sulaney mein kuch waqt lage ga

Us ka sath ab tanhai ko karte hai aur zeyada

Par yeh baat usey samjhaney mein kuch waqt lage ga

Akhir humain bhi laut kar ik din ghar ko jana hai

Lekin itni door se aney mein kuch waqt lage ga

Shayar hain yeh sochna hoga kese sab kuch kehna hai

Dil ki baat labon tak laney mein kuch waqt lage ga

Yeh mat samjho dunya walo thak kar beth gaye hum

Pichli chotton ko sehlaaney mein kuch waqt lage ga

Itni jaldi kya Shabnum tum ko waapis janey ki

Kaam yeh dunyaa ke nibtaaney mein kuch waqt lage ga....

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo