Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala Phir Se Seena Fugaar Kar Daala


Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala
Phir Se Seena Fugaar Kar Daala

Aur Kitnay Diye Jalao Ge ?
Ghar Ko Tum Ne Mazaar  Kar Daala

Phir Hawaaon Se Dosti Karli
Phir Se Dil Daagdaar Kar Daala

Ye Mohabbat Thi Khaas Shay Jis Ka
Tum Ne Kaarobaar Kar Daala

Phir Se Dil Haath Se Gaya Dekho
Phir Mohabbat Ka Waar Kar Daala ??

Wo Jo Basti Basaa Ke Bhool Gaya
Hum Ne Tou Os Se Pyaar Kar Daala

Dil Ko Pehluu Mein Le Le Ke Phirta Hai
Keh Raha Tha Nisaar Kar Daala

Tum Ne Furqat Ke Saaray Lamhon Ko
Zindagi Mein Shumaar Kar Daala

Jo Hawaon Pe Pair Rakhtay Thay
Khaak Ne Khaaksaar Kar Daala

Hum Ne Khusbuu Ki Justuju Mein Batool
Kiun Muqaddar Ko Daar Kar Daala ?

Ab Na Aaya Tou Phir Balaa Se Batool
Hum Ne Tou Intezaar Kar Daala……..!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai