Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar, Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar


Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar,
Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar,

Teri ankhon mein khud ko dhoondti hoon is liye shayed,
Ke apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar,

Takaa karti hoon tanha beth kar pehron jo phoolon ko,
Tumhari un main hoti hai shabahat hu’bahuu aksar,

Woh raaz dil jisey phoolon ki surat dil main rakha tha,
Ussi ki to mehek phailli hai jaana, chaarsu aksar,

Sadaf! deen-e-wafaa ka dum to sab bharty hain lekin kyon,
Issi ke naam par galiyon mein behtaa hai lahuu aksar..

Sadaf Mirza

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo